Journey

It's not WHAT you see but HOW you see it - understand the difference !!

Sunday 17 January 2016

Jaaye toh jaaye kaha ....


Sochti thi dosti har mushkil ka hal hai
Sochti thi dosti mein hi mera aaj,mera kal hai
Shayad iss dosti mein kuch kami rahi hai
Hoon aaj bhi yaha par dost nahi hai
थे  dost ye kaise jo kabhi haal na pooche
Har kisi ke yaha mijaaz थे  ooche

Facebook ki dosti hume bhaayi nahi
Whatsapp ke dosti raas aayi nahi
Jo apne थे sab paraye lagte hai
Jo paraye थे se apne hone ka dikhawa karte hai
Ye social networking dooriyan kam karne k liye thi na...
Phir dooriyan बढ़ kyu gayi jeevan mein ?
Sab online toh hai, par kisi ke paas kisi ke liye waqt nahi hai....

Kisi Dushman ki baddua kahu
Ya Dosti ka sila...
Log badh gaye, main tham si gayi hu
Waqt beh raha hai  main jam si gayi hoon
Na dost hai yaha pe, Na koi pyar hai
Meri har jeet mein chupi kahi meri hi haar hai

Ab samjha hai jaake maine zindagi ko kareeb se
Iske छल  ko......
Main akeli thi, akeli hu aur akeli rahungi
Ek bhram tha jo टूट  gaya
Ek accha waqt jo peeche छूट gaya
Thaga sa mehsoos kar rahi hu
Andar andar गल  rahi hu
Nahi ab mann nahi lagta yaha
Lekin sawaal toh wahi hai aaj bhi..
....... Jaaye toh jaaye kaha ?


~ M.e.D