Journey

It's not WHAT you see but HOW you see it - understand the difference !!

Regrets....


Zindagi mein aksar sirf pachtawa haath aata hai
aise kai faisle jinke baare mein sochkar bhi dard aur takleef ke alaawa kuch yaad nhi aata. Par wo kehte hai na ki kitna bhi ro lo, beeta waqt nhi lautta aur isiliye hum unn galtiyon ko sudhaar nhi paate aur kuch reh jaata hai toh pachtawa....
Wo pachtaawa jo humare saath rehta hai,haan kabhi kabar roz ki hulchul mein dubak jaata hai, par phir mauka paate hi oofaan maarta hai...




Aksar jo baatein humare liye choti hoti hai wo doosre kisi shaks ke liye bahut mayane rakhti hai.........galtiyon ko nazar-andaaj kiya jaa sakta hai, unhe sudhaara bhi jaa sakta hai par kai baar galtiyaan gunah ban jaati hai aur gunaaho ka koi praashchit nhi hota...unki saza hoti hai.....kai baar zindagi hi saza hoti hai.......haan pachtaawo se bhari zindagi ek saza se zyaada aur kuch nhi
Aap doosro ko toh phir bhi maaf karde par khud ko.... khud ko kaise maaf kare..........





~ M.e.D